here are given some Urdu Ghazals to express our thoughts and feelings when we are sad or feeling down. Best Collection of Sad Urdu Ghazals are below
Bahar Bhi Ab Andar Jaisa Sannata Hai
Bahar bhi ab andar jaisa sannaata hai,
dariya ke us paar bhi gehra sannaata hai.
Shor thame toh shayad sadiyaan beet chuki hain,
ab tak lekin sehma sehma sannaata hai.
Kis se bolun ye toh ek sehra hai jahaan par,
main hun ya phir goonga behra sannaata hai.
Jaise ek toofaan se pehle ki khamoshi,
aaj meri basti mein aisa sannaata hai.
Nayi sehar ki chaap na jaane kab ubhregi,
chaaron jaanib raat ka gehra sannaata hai.
Soch rahe ho socho lekin bol na padna,
dekh rahe ho shehar mein kitna sannaata hai.
Mehv-e-khwaab hain saari dekhne wali aankhen,
jaagne wala bas ek andha sannaata hai.
Darna hai toh anjaani aawaaz se darna,
ye toh ‘aanis’ dekha-bhaala sannaata hai
Tere Lehje Main Jo Khanki Hai Kabhi Socha Hai
Tere Lehje Main Jo Khanki Hai Kabhi Socha Hai
Ye Mere Jism Ko Be-Jaan Kiye Jati Hai
Teri Yad Main Tujh Ko Kahan Khabar Hai Sanam
Ye 'Nimra' Roz Toot'ti Hai Bikhar Jati Hai
Yoon Tere Hijr Main Din Rat Mere Kat'te Hain
K Jese Rooh Meri Nilaam Hui Jati Hai
Main Tere Pyar Ko Har Pal Tarasti Rehti Hun
Yunhi Har Sham Meri Roz Guzar Jati Hai
Teri Narazgi Halat Ye Meri Karti Hai
K Jese Jism Se Ye Jaan Nikal Jati Hai
Teri Har Bat Yad Kar K Dil Ye Rota Hai
Meri Har Sham Jana Yoon Teri Ho Jati Hai
Faqat Ye Rabta Hi To Sahara Hai Mera
Us Ki Har Bat Gehra Zakhm Bhi De Jati Hai
Tere Deedar Ko Ankhain Meri Tarasti Hain
Aur Har Roz Ye Khawahish Bhi Bikhar Jati Hai...
Uski Aankhon Main Mohabbat Ka Sitara Hoga
Uski Aankhon Main Mohabbat Ka Sitara Hoga
Ek Din Aye Ga Wo Shakhs Humara Hoga,
Tum Jahan Mere Liye Sipiyan Chunti Hogi
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinara Hoga,
Zindagi.. Ab K Mera Naam Na Shamil Karna
Gar Ye Tay Hai K Yehi Khail Dobara Hoga,
Jis K Hone Se Meri Sans Chala Karti Thi
Kis Tarha Us K Bagair Guzara Hoga,
Ye Achanak Jo Ujaala Sa Hua Jata Hai
Dil Ne Chupkay Se Tera Naam Pukaara Hoga,
Ishq Karna Hai To Din Raat Usy Sochna Hai
Aur Kuch Zehen Main Aaya To Khasara Hoga,
Ye Jo Pani Main Chala Aya Sunehri Sa Gharoor
Us Ne Darya Main Kahin Paun Utara Hoga,
Kon Rota Hai Yahan Raat K Sannaton Me
Mere Jesa Hi Koi Hijar Ka Mara Hoga,
Mujh Ko Maloom Hai Junhi Main Qadam Rakhun ga
Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga,
Jo Meri Rooh Main Baadal Se Garajte Hain WASI
Usne Seeny Main Koi Dard Utara Ho Ga,
Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lunga Us Ko
Mere Mola Ka WASI Junhi Ishara Hoga
Click Here to read more Urdu Poetry and Ghazals
0 comments:
Post a Comment